tishna-e-takmil hai wahshat ka afsana abhi waqif-e-sud-o-ziyan hai tera diwana abhi kyun na ho qurban sham-e-husn ke jalwon pe dil apne jalwon se hai na-waqif ye parwana abhi gul charagh-e-dair hai khamosh hai sham-e-haram saqiya raushan hai tere dam se mai-khana abhi ya tajalli tur ki hai khud hijab-andar-hijab ya nahin zauq-e-nazar apna kalimana abhi dur hai manzil meri ek jam ai pir-e-mughan rah mein aaenge kaba aur but-khana abhi dastan 'mansur' ki be-kaif ho sakti nahin muddaton dohraegi duniya ye afsana abhi