tishna-lab kahte rahe sunti rahi pyasi raat subah tak chalti rahi durd-e-tah-e-jam ki baat ye hawas-pesha hawas-kar hawas-khu duniya khub hai jis mein bhatakti hai guzargah-e-najat padte hi dil pe kisi shokh nazar ka partaw jagmagane lagi dhadkan to saje mahsusat jagmagati hai kiran dard ki dhadkan dhadkan aap ko pesh karun pyar ki rangin saughat ek masiha ki nishani hai ye hansta hua zakhm hum ko darkar nahin marham-o-darman-e-hayat waqt zalim hai mita deta hai shaddadon ko aap ka zulm hai kya aap ki kya hai auqat jam-o-aina yahi dil tha kisi din 'jawed' us ne toda hai jise sang-dili se haihat