titli se dosti na gulabon ka shauq hai meri tarah use bhi kitabon ka shauq hai warna to nind se bhi nahin koi khas rabt aankhon ko sirf aap ke khwabon ka shauq hai hum aashiq-e-ghazal hain to maghrur kyon na hon aakhir ye shauq bhi to nawabon ka shauq hai us shakhs ke fareb se waqif hain hum magar kuchh apni pyas ko hi sarabon ka shauq hai girne do khud sambhalne do aise hi chalne do ye to 'charagh' khana-kharabon ka shauq hai