tu agar abr hai main abr mein pani ki tarah main tere sath hun lafzon mein maani ki tarah nafsi-nafsi ka ye aalam hai ki aate jate tum mile bhi to qayamat ki nishani ki tarah yun hi ek roz guzar jaunga rahon se teri main bhi bahti hui nadiyon ki rawani ki tarah dekh kar tujh ko kaleje mein kasak uthti hai dhaj teri hai meri aashufta-bayani ki tarah na-muradi mein tu ai dasht akela hi nahin main bhi pyasa hun teri tishna-dahani ki tarah aaj sun lo meri baaten ki abhi zinda hun kal suna jaunga mahfil mein kahani ki tarah