tu agar dekhe sadgi meri

tu agar dekhe sadgi meri
phir tabiat hai shaeri meri

dard-o-gham mein wafa milai gai
aur takhliq ki gai meri

mujh ko itna batao sach sach tum
yaad aati nahin kabhi meri

har andhera mita sakun main yahan
dur tak jae raushni meri

ab bhi tujh se wafa nibhaungi
ab bhi baqi hai zindagi meri

kitne din se tera guzar na hua
kitni viran hui gali meri

main bhi shab mein falak pe hoti hun
kaun dekhega chandni meri

teri sanson ki khushbuon mein hun
tujh ko zahir na ho kami meri

phir 'ananya' tujhe wo yaad aaya
kah rahi aankhon ki nami meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close