tu agar dil mein ek bar aae umr bhar ke liye qarar aae aashiyana hi gulsitan mein nahin ab khizan aae ya bahaar aae wo na aaen to ai dam-e-akhir lab pe nam un ka bar bar aae maut ne aasra diya bhi to kab jab musibat ke din guzar aae yas kahti hai kuchh tamanna kuchh kis ki baaton pe e'tibar aae ye to kuchh talkh thi mere saqi ab jo aae wo khush-gawar aae us ko tera payambar samjhun maut agar waqt-e-intizar aae 'arsh' wo be-qarariyan na rahin dil ko ab kis tarah qarar aae