tu apne pindar ki khabar le ki rukh hawa ka badal raha hai teri nazar se bahakne wala fareb kha kar sambhal raha hai yahi hai dastur-e-shahr-e-hasti ki jo naya hai wahi purana hayat angdai le rahi hai zamana karwat badal raha hai rah-e-talab mein junun ne akasr shuur ko aaina dikhaya jise tha uzr-e-shikasta-pai wo ab sitaron pe chal raha hai hamein ye tane na do ki hum ne zamana-sazi ke gur na sikhe ki rafta rafta mizaj-e-duniya hamare sanche mein dhal raha hai teri adaon ki sadgi mein kisi ko mahsus bhi na hoga abhi qayamat ka ek karishma haya ke daman mein pal raha hai kisi mein himmat na thi ki badh kar junun ki zanjir tham leta khirad ki basti mein hai andhera charagh sahra mein jal raha hai hazar shewe the guftugu ke hazar andaz the sukhan ke magar ba-ima-e-dil 'faridi' fida-e-rang-e-ghazal raha hai
This is a great himmat hosla shayari. True lovers of image shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore tumhari sadgi shayari. Please share if you liked this!!!