tu hawa ke hath pe chahaton ka diya jalane ki zid na kar

tu hawa ke hath pe chahaton ka diya jalane ki zid na kar
ye udas logon ka shahr hai yahan muskurane ki zid na kar

main hun doston ka dasa hua mera gham hai had se badha hua
main shikasta ghar ki misal hun mere pas aane ki zid na kar

main teri ghazal to nahin hun na jo har ek lab pe saja rahun
main to ek misra-e-dard hun mujhe gungunane ki zid na kar

abhi laut aa abhi waqt hai abhi sans baqi hai jism mein
tujhe ilm hai meri jaan hai tu mujhe aazmane ki zid na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close