tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin dekha jo apne ko tu hi mila tu aur nahin main aur nahin tu hi adam ka tha parda-nashin mere dil ke makan ka hai tu hi makin meri hasti hai sab ye zuhur tera tu aur nahin main aur nahin mere hosh-ruba ne hai fazl kiya mujhe raaz-e-khudai apna diya meri ruh mein ruh mila ke kaha tu aur nahin main aur nahin kahta hai ye mujh se mera sanam ki hain ek hi ye donon hudus-o-qidam kuchh farq nahin is mein hai zara tu aur nahin main aur nahin 'mardan-safi' mera mah-e-laqa hai meri hi shakl mein jalwa-numa mujh se ye kahta hai kah de khula tu aur nahin main aur nahin