tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu is bar zara meri shab-e-gham ki tarah aa hal karne hain mujh ko kai pechida masail ai jaan-e-wafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa zakhmon ko gawara nahin yak-rangi-e-haalat nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa nazdiki o duri ki kashakash ko mita de is jang mein tu sulh ke parcham ki tarah aa mana ki mera ghar teri jannat to nahin hai duniya mein meri laghzish-e-adam ki tarah aa tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa