tufan ke dar se rang uda bhi isi ka tha lekin safina par laga bhi usi ka tha jo hont sil gae wo sana-khwan usi ke the jo mar gaya wo harf-e-dua bhi usi ka tha utri thi us ke ghar mein mah-o-mahr ki baraat aur mera timtimata diya bhi usi ka tha minar-e-jaan mein us ki sada gunjti rahi lauh-e-jabin pe nam likha bhi usi ka tha thi us ke aks-e-rukh se shafaq-rang zindagi mere lahu mein rang-e-hina bhi usi ka tha khamoshiyon pe pahle kabhi us ka bas na tha phir yun hua ki shahr-e-sada bhi usi ka tha pahle to chand log taraf-dar the mere phir wo bhi waqt tha ki khuda bhi usi ka tha