tujhe apna banana chahta hun magar khud ko bhi pana chahta hun tumhaari yaad ko dil mein basa kar main sab kuchh bhul jaana chahta hun zara meri taraf bhi ho tawajjoh main haal-e-dil sunana chahta hun jo har insan ko sarshaar kar de main aisa git gana chahta hun main thukra kar jahan ki sari daulat faqat ab tujh ko pana chahta hun tumhein khushiyan ata karne ki khatir main apna gham chhupana chahta hun mohabbat zindagi hai apni 'ahsan' yahi sab ko batana chahta hun