tujhe rab kahe koi wahguru tu kahin khuda kahin ram hai ye hain ek nam ki barkaten hamein nam lene se kaam hai teri marifat ki sharab mein wo surur-o-kaif-e-dawam hai mai-e-talkh mein bhala kya maza mai-e-talkh pina haram hai hai haram kya to halal kya ye hamare dil pe hai munhasir jise chahe dil to halal hai jo na chahe dil to haram hai mere dil mein teri hi yaad hai tu basa hua hai khayal mein hai zaban pe teri hi guftugu mere lab pe tera hi nam hai wo kisi bhi qaum ka bhai ho karo koshishen ki bhalai ho kisi baat pe na ladai ho yahi ambiya ka payam hai teri bargah-e-niyaz mein pae sajda sainkadon sar jhuken tu rahim hai tu karim hai tu hi sab ka pesh-imam hai wo faqir ho ki amir ho ki ho baadshah mere khuda ho kisi ka koi bhi martaba yahan jo hai tera ghulam hai wo karim hai wo rahim hai wo fahim hai wahi kibriya bas usi ki shan azim hai bas usi ka aali maqam hai ai 'nahif' tujh ko main kya kahun tujhe dil se kaise bhula sakun teri sidhi sadi si guftugu tera sidha sada kalam hai