tujhko lagta hai to han Thik hai man-mani hai

tujh ko lagta hai to han thik hai man-mani hai
mujhe ab baat samajhni hai na samjhani hai

warna wo khwab ki ta-umr na soe koi
nind aa jati hai is baat ki aasani hai

sath mein is ki siwa ret ke ab kuchh bhi nahin
yani rone ke liye aankh mein bas pani hai

tajraba us ko bhi kuchh khas nahin duniya ka
khak hum ne bhi zamane ki nahin chhani hai

mere chehre pe yahi dekh ke bikhri muskan
main pareshan hun aur us ko pareshani hai

ishq mein itni suhulat bhi nahin paoge
jaan par ban padi to jaan chali jaani hai

hum kahan ruh ki baaton mein ulajh jate hain
darmiyan apne talluq bhi to jismani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close