tujh se bichhad kar kya hun main ab bahar aa kar dekh himmat hai to meri haalat aankh mila kar dekh sham hai gahri tez hawa hai sar pe khadi hai raat rasta gae musafir ka ab diya jala kar dekh darwaze ke pas aa aa kar wapas mudti chap kaun hai is sunsan gali mein pas bula kar dekh shayad koi dekhne wala ho jae hairan kamre ki diwaron par koi naqsh bana kar dekh tu bhi 'munir' ab bhare jahan mein mil kar rahna sikh bahar se to dekh liya ab andar ja kar dekh