tum ahl-e-dil ho so dil mein rakha hamara nam wagarna hum bhi hain kya aur kya hamara nam har ek shakhs ke sine mein hum dhadakte hain sabhi ke honton pe hai ja-ba-ja hamara nam tamam umr kai lafz chaak par ghume tab ek arse mein ja kar bana hamara nam tumhaare kanon ki dhalti hui guphaon mein ba-rang-e-raushni padta hua hamara nam sada kuchh aur hi aai thi us ki jaanib se hamein laga tha ki us ne liya hamara nam khamoshiyon ke badan par sadaen likhni thin ajib shakhs tha likhne laga hamara nam phir us ko sun ke bahut der tak sabhi roe koi kahani thi aakhir mein tha hamara nam