tum apne shikwe ki baaten na khod khod ke puchho hazar karo mere dil se ki is mein aag dabi hai dila ye dard-o-alam bhi to mughtanim hai ki aakhir na girya-e-sahari hai na aah-e-nim-shabi hai nazar ba-naqs-e-gadayan kamal-e-be-adabi hai ki khar-e-khushk ko bhi dawa-e-chaman-nasabi hai hua visal se shauq-e-dil-e-haris ziyaada lab-e-qadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labi hai khusha wo dil ki sarapa tilism-e-be-khabari ho junun o yas o alam rizq-e-muddaa-talabi hai chaman mein kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamasha ki barg barg-e-saman shisha reza-e-halabi hai imam-e-zahir-o-baatin amir-e-surat-o-mani 'ali' wali asadullah jaanashin-e-nabi hai