tum ek aise shakhs ko pahchante ho ya nahin jis ka chehra bolta hai aur lab goya nahin subh ko dekha to do ghaw mere chehre pe the raat kuchh rone ki khwahish thi magar roya nahin phailta jata hai khud-raw sabza-e-gham chaar-su khet wo katunga jo main ne kabhi boya nahin khwab dekha tha koi bachpan ki kachchi nind mein dosto phir chain se main aaj tak soya nahin zinat-e-malbus-e-hasti badh gai jis dagh se zindagi bhar main ne aise dagh ko dhoya nahin