tum na aao to nama-bar hi sahi mubtada ho na ho khabar hi sahi is ke sae mein dam to leta hun shakh-e-ummid be-samar hi sahi dil ki nikli to hai bhadas zara aah be-gana-e-asar hi sahi aur to aap se na kuchh hoga mehrbani ki ek nazar hi sahi chhod waiz riya ko jam utha khair mumkin nahin to shar hi sahi ek muddat se sun raha hai jahan dastan meri mukhtasar hi sahi kyun hai na-mo'tabar karam un ka zindagi dard-e-mo'atabar hi sahi nur-afza hai yaad-e-chehra-e-dost raat furqat ki be-sahar hi sahi hai yahi mera kaba-e-maqsud sajda karne ko tera dar hi sahi roz minnat-kash-e-dawa to na ho zindagi ek dard-e-sar hi sahi kuchh tumhein bhi to rahm lazim hai meri fariyaad be-asar hi sahi 'arsh' be-gana-e-hunar to na rah aib karne ka ek hunar hi sahi