tumhaare dil mein jo gham basa hai to main kahan hun ye main nahin koi dusra hai to main kahan hun hamari palkon ke khwab aakhir udas kyun hain agar ye tum ko hi sochna hai to main kahan hun wo meri taswir meri khushbu khayal mera tumhaara kamra saja hua hai to main kahan hun kisi ne dekha to kya kahega tum hi batao tumhaare hathon mein aaina hai to main kahan hun tumhaari chahat ke zakhm shayad mahak rahe hain suna hai mausam hara-bhara hai to main kahan hun hara jamega ki surkh joda ye karchobi tumhein ye dil hi se puchhna hai to main kahan hun ye tum bhi socho ki 'badr' aakhir udas kyun hai charagh itna bujha bujha hai to main kahan hun