tumhaare gham ko gham-e-jaan bana liya main ne ki jangalon ko gulon se saja diya main ne na jaane kitni umiden lahu lahu kar ke dil-e-tabah ko jina sikha diya main ne sabab ho kuchh bhi unhen ruthne ki aadat hai ye sochna hi ghalat hai ki kya kiya main ne har ek baat mere haq mein thi magar phir bhi jo faisla tha bahut soch kar kiya main ne use na bhul saka hun na bhul paunga ye tajraba to kai bar kar liya main ne tere baghair meri pyas bujh nahin pai hamesha yaad kiya tujh ko saqiya main ne meri bhi khamushi dekhi nahin gai un se kisi ka zabt-e-sukhan aazma liya main ne ilaj soz-e-darun ka na ho saka phir bhi 'sahar' ba-nam-e-dawa zahr bhi piya main ne