tumhaare honton se bujhne ko jalna padta hai tumhaari aarzu ho to machalna padta hai ba-jism mil nahin sakta so khushbu banta hai wo mere liye use paikar badalna padta hai hamin bujhate hain lau pahle sab charaghon ki phir in charaghon ke hisse ka jalna padta hai phir intizar bhi to karna hota hai tera mujhe to waqt se pahle nikalna padta hai badi hai sakht meri jaan teri udasi bhi ba-shakl-o-surat-e-diwar dhalna padta hai main haar jata hun un do udas aankhon se mujhe safar ka irada badalna padta hai