tumhaare zulm ki miad ghat bhi sakti hai ye mere panw ki zanjir kat bhi sakti hai jo sach kaha hai to is ki saza bhi jaanta hun mujhe khabar hai zaban meri kat bhi sakti hai dilon ke beach jo duri hai us ko khatm karen ye sarhadon ki rukawat to hat bhi sakti hai mujhe shikast nazar aa rahi hai khud apni magar yaqin hai bazi palat bhi sakti hai meri nazar ko na aamada-e-nazara kar meri nazar tere rukh se lipat bhi sakti hai