tumhaari yaad ke dipak bhi ab jalana kya juda hue hain to ahd-e-wafa nibhana kya basit hone lagi shahr-e-jaan pe tariki khula hua hai kahin par sharab-khana kya khade hue ho miyan gumbadon ke sae mein sadaen de ke yahan par fareb khana kya har ek samt yahan wahshaton ka maskan hai junun ke waste sahra o aashiyana kya wo chand aur kisi aasman pe raushan hai siyah raat hai us ki gali mein jaana kya