tumhein ab is se ziyaada saza nahin dunga duaen dunga magar bad-dua nahin dunga teri taraf se ladunga main teri har ek jang rahunga sath magar hausla nahin dunga teri zaban pe mauquf mere hath ka lams niwala dunga magar zaiqa nahin dunga main pahle bose se na-ashna rakhunga tumhein phir is ke baad tumhein dusra nahin dunga phir ek bar guzar jao mere upar se main is ke baad tumhein rasta nahin dunga ki tu talash kare aur main tujh ko mil jaun main teri aankh ko itni saza nahin dunga bhagae rakkhunga apni adalaton mein tumhein tamam umr tumhein faisla nahin dunga main us ke sath hun jo uth ke phir khada ho jae main tere shahar ko ab zalzala nahin dunga teri ana ke liye sirf ye saza hai bahut tu ja raha hai to tujh ko sada nahin dunga ki ab ki bar 'liyaqat' hua hua so hua main us ke hath mein ab aaina nahin dunga