tumhein hamari mohabbaton ke hasin jazbe bula rahe hain jo hum ne likkhe the tum pe hamdam wo sare naghme bula rahe hain wahan tumhaare bhi bachpanon ki hasin yaaden hain dafn yaro khuda gawah hai watan mein tum ko tumhaare qasbe bula rahe hain jo haq gharibon ka kha rahe ho to yaad rakhna ai hukmarano kahin pe tum ko bhi zulmaton ke sulagte raqbe bula rahe hain hamare lahje ki larzishon se samajh sako to samajh bhi jao tumhaare gham se lage jo dil pe wo sare tamghe bula rahe hain yaqin jaano tumhaare jaane ke baad koi racha na mazhab tumhaari tasbih tumhaare sajde tumhaare kalme bula rahe hain 'nadim' danishwaron ki mahfil kabhi na kuchh bhi ata karegi chalo ki jaani-pura jahan pe wo yar kamle bula rahe hain