tumhein mere khayal ki musawwiri qubul ho jadid-tar faza-e-alf-lailawi qubul ho haqiqaton ki talkhiyon ke masale kuchh aur hain magar khayal-o-khwab ki ye shairi qubul ho tumhaara jism mabad-e-tasawwur-e-nashat hai mufakkir-e-bahaar ki ye bandagi qubul ho ba-wasf-e-ilm-o-fan jinhen kabhi sukun na mil saka bahut hai gar unhen nashat-e-arzi qubul ho hayat khud meri hi fikr ka hasin tilism hai agar jahan ko bhi ye sehr-e-samri qubul ho tumhaare husn ke tufail khizr-e-shahr-e-raz ko bhi 'salam' aise shairon ki kaj-rawi qubul ho