tumhein ye wahm ishaara tumari zat se tha ghalat na samjho mukhatib main kaenat se tha mujhe ye ranj sawad-e-mushahidat se tha jawaz-e-jaan bhi yahan marg-e-khwahishat se tha na ab wo jahl na danishwari ki baaten hain ki husn-e-falsafa husn-e-tanaze’at se tha fasad-e-shahr na tha be-sabab ki rabt us ka ma’ashiyat se tha ya siyasiyat se tha sahar ko baad-e-saba ne mujhe bikher diya main apni khak sanbhaale hue to raat se tha bacha hawa se to dhupon ki zad mein aa ke gira wo barg-e-sabz jo mausam ki baqiyat se tha ta'ayyushat mein samjha gaya use nahaq ta'alluq us ka hamari zaruriyat se tha har ek shakhs ko thi khwahish-e-gazand wahan ki us ka dar bhi jaise tabarrukat se tha wo mar gaya to khuda ho gaya hazaron ka wo shakhs apne hi jaisa tha jab hayat se tha 'rauf' khair ta'alluq shuru' se apna jamaliyat se tha husn-e-she'riyat se tha