tum ne roka tha hum pe pani kyon yaad karte nahin kahani kyon main to dil ka amir-zada hun lae poshak ye shahani kyon kis ka ghar lut gaya sar-e-maqtal bhul jate ho ye kahani kyon tishnagi meri bujh nahin sakti dhundhta hai mujhe ye pani kyon mera ghar lut gaya sar-e-maqtal phir bhi kahte ho nauha-khwani kyon baadshah mere dar pe bante hain tum ne dar-dar ki khak chhani kyon dekh kar mere dil mein neze ko sar patakti hai ye jawani kyon tum ne socha bhi hai kabhi waiz mere sine pe hai nishani kyon main to insan saf dil ka hun mujh se rakhte ho bad-gumani kyon zindagi kat di ghulami mein chahte ho ye hukmrani kyon shahron shahron ghumae phirte ho nok-e-neza pe zindagani kyon meri tahzib lutne walo mujh pe karte ho mehrbani kyon