tut kar bikhre hain sapne sahn mein kis ne khinche hain ye raste sahn mein kaun deta hai udasi ko fareb kaun ugata hai ye chehre sahn mein koi samjha hi nahin ek lafz bhi gunjte hain kitne lahje sahn mein ek shajar bhi nam ko ghar mein nahin ud rahe hain khushk patte sahn mein jaane kab tute tilism-e-tirgi jaane kab utren sawere sahn mein chhod jata hai koi aankhen yahan khol jata hai dariche sahn mein raat phir 'ausaf' yaad aaya koi raat jaise phul mahke sahn mein