udaun na kyun tar-tar-e-gareban ki parda-dari hai shiar-e-gareban har ek tar hai dast-gir-e-tamasha kiya zoaf ne sharmsar-e-gareban katan-o-gul-o-sina-e-ahl-e-hasrat bahut chiz hain yaadgar-e-gareban agar dushmani bakhiya-gar ko nahin to kyun is qadar dost-dar-e-gareban yahin qaid-e-rasm khalaiq pasand har ek sans hai khar-khar-e-gareban wafa hai meri pesh-dast-e-salasil tera parda hai pesh-kar-e-gareban ye udne mein chaalak har para hai ram-e-dasht-e-wahshat shikar-e-gareban kabhi koh mein dasht mein hai kabhi nahin kuchh gulu par madar-e-gareban 'qalaq' kyun ke parda na uthta hamara ki hai bakhiya-gar raaz-dar-e-gareban