uljhe hue din khoi hui raat na hoti ai kash meri tum se mulaqat na hoti aadab-e-wafa ka jo main paband na hota wallah ki ye surat-e-haalat na hoti tum gham ka lab-o-lahja samajh hi nahin pae warna kabhi is darja badhi baat na hoti dil khol ke taron se mein kahta tha kahani hoti badi ruswai agar raat na hoti sab kuchh main samajh baitha teri yaad ko warna ujdi hui firdaus-e-khayalat na hoti dar-asl khata hai ye mere zauq-e-nazar ki warna tumhein taklif-e-hijabaat na hoti tujh se gham-e-dauran hi bhala ai gham-e-jaanan is tarah to barbaadi-e-jazbaat na hoti kam-zarf bhi aa nikle hain maikhane ki jaanib is se to ye achchha tha ki barsat na hoti dil gham se hai bezar magar ye jo na hota 'jauhar' kabhi takmil-e-kamalat na hoti