umr-bhar dard ke sannaton mein chalna hoga par utrunga samundar ke to sahra hoga ungliyan meri hawaon ki girah kholengi paniyon par bhi mera naqsh-e-kaf-e-pa hoga shisha-e-dasht-e-talab chhut gaya hathon se har taraf bikhra hua khwab ka chehra hoga khushk honton pe hai barfili hawaon ki nami gham ka sawan kahin daldal pe barasta hoga reg-zaron mein hai ye kis ke lahu ki khushbu mujh se pahle koi is rah se guzra hoga us ke chehre pe hain sadiyon ke safar ki shiknen mere purkhon ki kahani wo sunata hoga kachchi nindon se jagao na koi 'saifi' ko kitni sadiyon ki thakan odh ke soya hoga