umr guzregi imtihan mein kya dagh hi denge mujh ko dan mein kya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mere bayan mein kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahi hota hai khandan mein kya apni mahrumiyan chhupate hain hum gharibon ki aan-ban mein kya khud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mere guman mein kya sham hi se dukan-e-did hai band nahin nuqsan tak dukan mein kya ai mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi ban mein kya bolte kyun nahin mere haq mein aable pad gae zaban mein kya khamushi kah rahi hai kan mein kya aa raha hai mere guman mein kya dil ki aate hain jis ko dhyan bahut khud bhi aata hai apne dhyan mein kya wo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi hun main teri aman mein kya yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kya hai nasim-e-bahaar gard-alud khak udti hai us makan mein kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shakhs tha jahan mein kya
This is a great rone na denge shayari. Please share if you liked this!!!