umr jitni bhi kati us ke bharose pe kati aur ab sochta hun us ka bharosa kya tha tum ne achchha kiya daman ko bacha kar guzre hum to bas rah ki mitti the hamara kya tha is liye aa ke tere shahr mein aabaad hue hum ko is dasht-nawardi se bhi lena kya tha ye agar sach hai ki hum us se bichhad kar khush the raat din us ki taraf dekhte rahna kya tha shauq-e-nazara ne aankhen hi nahin khulne din ye kisi ko nahin malum ki dekha kya tha panw mere bhi nahin uthte the ghar ki jaanib tum bhi jate hue laut aae the aisa kya tha jal mein us ke giraftar to hona tha hamein us ke jadu se nikalne ka tariqa kya tha subh pahchan na paya koi surat teri dil-e-hangama-talab raat tamasha kya tha subh suraj bhi use dekhne aaya 'shahzad' raat chamka tha jabin par jo sitara kya tha