uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah

uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah
farogh kis ko hai rindon ke bankpan ki tarah

mera khayal nahin hai to aur kya hoga
guzar gaya tere mathe se jo shikan ki tarah

ye sar-zamin-e-gul-o-lala so bhi jati hai
libaada barf ka odhe hue kafan ki tarah

kabhi to guzrunga is rahguzar se ho kar
khud apni tak mein baitha hun rahzan ki tarah

khizan ka khauf mujhe khae ja raha hai 'kamal'
chinar surkh na hon aatish-e-sukhan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close