us but se jo milne ki tadbir nazar aai

us but se jo milne ki tadbir nazar aai
banti hui kuchh apni taqdir nazar aai

chhup chhup ke zamane se kyun ashk-rawani hai
shayad ki mohabbat mein tasir nazar aai

jine ka maza kya hai jab maut hi ruthi ho
jis samt qadam utthe zanjir nazar aai

jab aalam-e-wahshat mein apne ko bhula baitha
anjam-e-mohabbat ki taqsir nazar aai

paimana-o-mina ki surat mein 'rais' aakhir
tuti hui tauba ki taswir nazar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close