us dard se bhi tujh se jo mansub raha hai har chiz se har shakhs se man ub raha hai kya jaaniye kal subh ubharta hai kidhar se ek dil jo sar-e-sham kahin dub raha hai ab hosh mein aaya hun to achchha hai ye uslub mai pi ke bahakna bhi magar khub raha hai hairan hun use kaise na pahchan saka main wo shakhs jo barson mera matlub raha hai zahir hai tere tark-e-talluq ki ada se ek waqt mein tu kitnon ka mahbub raha hai chadhte hue suraj ko salam us ka bhi kah do jo shakhs sar-e-wadi-e-shab dub raha hai munkir hai nae daur ka har fard hi us se sadiyon se zamane ka jo uslub raha hai