us husn-e-be-niyaz ke kuchh martabe the aur

us husn-e-be-niyaz ke kuchh martabe the aur
meri udas raaton ke bujhte diye the aur

zakhmon ko nok-e-khar ki lazzat pasand thi
waise tumhaare ghar ke kai raste the aur

main hi nahin tha khokhle pedon ke darmiyan
mujh jaise na-shanas wahan par khade the aur

is se bichhad ke rone ki fursat nahin mili
qirtas-e-zindagi pe kai gham likhe the aur

daman mein jo guhar hain natije hain ishq ke
pahle jo mere pas the wo aaine the aur

saqi bacha li aabru tu ne khud apni aaj
warna meri manzar mein kai mai-kade the aur

jis ke ek ek misre mein rahta tha us ka zikr
'ajiz' wo sher aur the wo qafiye the aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close