us pari-ru ne na mujh se hai nibahi kya karun sar kidhar patkun kidhar jaun ilahi kya karun wasl ka din hai wale aankhon ke mere samne hai khadi shab-ha-e-hijran ki syahi kya karun takhta takhta ho gaya tufan mein aa kar jahan tum se ai yar bayan apni tabahi kya karun hai to wo dushman pe mahzar dekh kar khun ka mere sochta hai is pe mein apni gawahi kya karun tukde tukde dil hua jata hai pahlu mein 'hawas' zabh karti hai butan ki kam-nigahi kya karun