us taraf se koi tufan hawa le ke chali aur idhar main bhi hatheli pe diya le ke chali mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi bakhshi hai magar jab chali ghar se to main nam tera le ke chali hadse rah mein the aur safar zalim tha chand masum labon se main dua le ke chali mal agar le ke sabhi aae teri mahfil mein mere aanchal mein wafa thi main wafa le ke chali sab jahan hath pasare hue aae 'nikhat' aise bazar mein main apni ana le ke chali