us zulf ki tausif batai nahin jati ek lambi kahani hai sunai nahin jati dil hai ki mara jata hai didar ki khatir hum hain ki udhar aankh uthai nahin jati ashkon se kabhi soz-e-jigar kam nahin hota ye aag to pani se bujhai nahin jati dil ye to tera dagh-e-muhabbat na chhupega aaine se taswir chhupai nahin jati yarab kahan le jaun main hasrat-zada dil ko ye lash to ab mujh se uthai nahin jati aahon se kami gham mein na hogi dil-e-nadan phunkon se kabhi aag bujhai nahin jati kyun ashk-e-nadamat na bahaen 'jigar' aankhen jo dil mein lagi hai wo bujhai nahin jati