us ke kuche se saba gar idhar aa jati hai dil ke nalon ki mufassal khabar aa jati hai garche us zulf se kuchh kaam nahin ab to wale sanp ke kate ki si ek lahr aa jati hai mere hote hi tumhein ghair se thi karni baat dil mein kuchh kuchh phir isi baat par aa jati hai ye ghazab hai ki wo rutha hua phirta hai jo yan khwab mein bhi wahi surat nazar aa jati hai zikr chhede koi ab kyunki mera us ke huzur wan to har baat mein tegh-o-sipar aa jati hai sujhta kuchh nahin us waqt miyan apne tain yaad jis waqt teri mu kamar aa jati hai kat deta hai wo har baat mein sunta hi nahin baat meri kabhi majlis mein gar aa jati hai ek wafadari jo hai aab-o-gil apne mein 'hasan' phir tabiat nahin phirti jidhar aa jati hai