us ki aankhon mein tamanna-e-sahar rakh dena sina-e-shab mein kisi baat ka dar rakh dena aaj guzrega isi samt se wo mahr-e-badan dil ke raste mein zara chand shajar rakh dena ye na kahna ki andhera hai bahut rahon mein us se milna to hatheli pe qamar rakh dena us ko ashaar sunana to karamat ke sath apne tute hue lafzon mein asar rakh dena wardaten to kai shahr mein guzri hongi aaj akhbar mein meri bhi khabar rakh dena jis waraq par hai hadis-e-lab-o-rukhsar raqam us waraq par koi barg-e-gul-e-tar rakh dena ek mahtab darakhshan hai sar-e-baam-e-khayal meri aankhon mein bhi nairang-e-nazar rakh dena lala-e-sang se tarashe wo koi paikar-e-sang dast-e-sanna mein ek ye bhi hunar rakh dena