us ki chah mein ab ke ye bhi kamal hua khud se main bahar aaya to ek misal hua dard ki bedi sham se hi baj uthti hai main to us ke firaq mein aur nidhaal hua wo meri tarif ka ab mohtaj nahin wo chehra to khud hi ek misal hua khud hi charagh ab apni lau se nalan hai naqsh ye kya ubhra ye kaisa zawal hua ab to sannata bhi bolta lagta hai apne aap mein ye bhi ek kamal hua main apni tanhai se shayad aajiz tha is aahat ka warna kaise khayal hua wo bhi mujh ko bhula ke bahut khush baitha hai main bhi us ko chhod ke 'tur' nihaal hua