uski dhun mein har taraf bhaga kiya dauDa kiya

us ki dhun mein har taraf bhaga kiya dauda kiya
ek bund amrit ki khatir main samundar pi gaya

ek taraf qanun hai aur ek taraf insan hai
khatm hota hi nahin jurm-o-saza ka silsila

awwal-o-akhir ke kuchh auraq milte hi nahin
hai kitab-e-zindagi be-ibtida be-intiha

phul mein rangat bhi thi khushbu bhi thi aur husn bhi
us ne aawazen to din lekin kahan main sun saka

main to chhota hun jhuka dunga kabhi bhi apna sar
sab bade ye tai to kar len kaun hai sab se bada

jaise an-dekhe ujale ki koi diwar ho
band ho jata hai kuchh duri pe har ek rasta

husn-o-ulfat donon hain ab ek sath par magar
aaina-dar-aina bas aaina-dar-aina

jab na mujh se ban saki us tak rasai ki sabil
ek din main khud hi apne raste se hat gaya

zindabaad ai dil mere main bhi hun tujh se muttafiq
pyar sachcha hai to phir kaisi wafa kaisi jafa

han magar tasdiq mein umren guzar jati hain 'nur'
kuchh na kuchh rahta hai sab ko apni manzil ka pata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close