uski duzdida-nigahi dekhna achchha laga

us ki duzdida-nigahi dekhna achchha laga
bhid mein ek ajnabi ka samna achchha laga

jis ki taswir-e-tasawwur zehn mein mahfuz hai
jada-e-ulfat mein us ko dhundhna achchha laga

gholna kanon mein ras shirini-e-guftar se
ruh-parwar us ka hansna bolna achchha laga

murtaish hota hai jis ko dekh kar tar-e-nafas
us ka zulf kham-ba-kham ka kholna achchha laga

dil se dil ko rah hoti hai ye hai us ka subut
jate jate us ka mud kar dekhna achchha laga

wajd-awar tha gul-o-bulbul ka rabt-e-bahami
ghuncha-o-gul se chaman mein khelna achchha laga

hai jahan-e-rang-o-bu mein husn jis ka intikhab
us ka hona bazm mein jalwa-numa achchha laga

mere sine mein dhadakta hai dil-e-dard-ashna
is liye tute hue dil jodna achchha laga

munakis har chiz mein hota hai 'barqi' jis ka aks
us ka chehra aaina-dar-aina achchha laga


2020-06-03 06:49:23 AM

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close