us ko jate hue dekha tha pukara tha kahan rokte kis tarah wo shakhs hamara tha kahan thi kahan rabt mein us ke bhi kami koi magar main use pyara tha par jaan se pyara tha kahan be-sabab hi nahin murjhae the jazbon ke gulab tu ne chhu kar gham-e-hasti ko nikhaara tha kahan bich manjhdar mein the is liye hum par lage dubne ke liye koi bhi kinara tha kahan aakhir-e-shab meri palkon pe sitare the kai lekin aane ka tere koi ishaara tha kahan ye tamanna thi ki hum us pe luta den hasti ai 'ziya' us ko magar itna gawara tha kahan