usko nazrana-e-jaan pesh kiya hai maine

us ko nazrana-e-jaan pesh kiya hai main ne
yun subut apni wafaon ka diya hai main ne

ai mere daman-e-sad-chaak pe hansne wale
yaad kar tera gareban bhi siya hai main ne

khud-kushi ki mere dil ne mujhe di hai targhib
jab kisi ghair ka ehsan liya hai main ne

ghairat-e-ishq ko pamal na hone dunga
zindagi tujh se yahi ahd kiya hai main ne

ai meri khak-e-watan tujh se main sharminda nahin
barha apna lahu tujh ko diya hai main ne

yun to marne ke liye zahr piya jata hai
zindagi tere liye zahr piya hai main ne

zindagi mujh se bachane lagi daman 'anjum'
jab gham-e-dil ko faramosh kiya hai main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close