us ne kaha hasti teri main ne kaha jalwa tera us ne kaha phir nisti main ne kaha parda tera us ne kaha jaana mera main ne kaha meri ajal us ne kaha phir zindagi main ne kaha aana tera us ne kaha sham-e-bala main ne kaha gesu tere us ne kaha subh-e-safa main ne kaha chehra tera us ne kaha baran-e-gham main ne kaha rona mera us ne kaha barq-e-sitam main ne kaha hansna tera us ne kaha tu kaun hai main ne kaha naqsh-e-qadam us ne kaha manzil teri main ne kaha kucha tera us ne kaha kya kaam hai main ne kaha khidmat teri us ne kaha kya nam hai main ne kaha banda tera us ne kaha dil le gaya main ne kaha han le gaya us ne kaha wo kaun tha main ne kaha ghamza tera us ne kaha kya dil mein hai main ne kaha ulfat teri us ne kaha kya sar mein hai main ne kaha sauda tera us ne kaha kis se gila main ne kaha taqdir se us ne kaha taqdir kya main ne kaha mansha tera us ne kaha shab kaun tha main ne kaha 'taufiq' tha us ne kaha wo kaun hai main ne kaha shaida tera